Page 235 - Quran-e-Kareem
P. 235
th
th
6 Sureh Al-Anam (235) 8 para
ke hum tumko (bhi) rizqh dengey (toye) aur unko (bhi) (jeem) aur
behayai ki baton k pass na jao khawa wo zahir hon ya posheeda (jeem) aur
kisi nafs ko jiska qatal khuda ne haram kia hai tum qatal na karo siwaye
iskey k (wo qatal) muwaafiq e haq ho (toye) ye cheezein hain jinka usney
tumko hukum dia hai taakey tum samajh lo 6:151 (jeem) aur yateem k
maal k pass na jao siwaaye uss tareekhey k jo behter ho jab tak k wo
khoowat e tameez ko pohonch jaaye aur insaaf k saath naap tole karo
(jeem) hum kisi nafs ko iski wassat se ziada takleefein nahi detey (jeem)
aur jab tum koi baat kaho tu usmein insaaf karo go tumhaare gharabat
daar ho (jeem) aur Allah k ahead ko poora karo (toye) inhi cheezon ki
Allah ney tumko wasihat ki hai takey tum naseehat hasil karo 6:152 (laa)
aur beshak yehi mera rasta seedha hai pus iska itbah karo (jeem) aur
mukhtalif raston pe na chalo k wo tumko uskey raaste se hata dengey
(toye) in baton ka usney tumko hukum dia hai taakey tum perhaizgaar
bano 6:153 phir humney moosa ko aesi kitaab inaayet ki jo naykoo kaaron
per itmam-e-naimat

