Page 236 - Quran-e-Kareem
P. 236
th
th
6 Sureh Al-Anam (236) 8 para
kerti hai aur her cheez ka khula bayan hai aur hidayat-o-rehmat hai taakey
wo apney perwerdigaar k huzoor mein jaaney per imaan le aayein 6:154
(hamza) aur ye kitab jo humney utari hai berkat waali hai pus tum uski
peravi karo aur dartey raaho takey tum per reham kia jaye 6:155 (laa)
(mubada) tum ye kehdo k humsey pehley do grohon per kitaab nazil ki
gayi thi (soad) aur hum zaroor uskey perdhney perhaney se bekhaber they
6:156 (laa) ya ye kehdo k kaash humper kitaab nazil ki jaati tu hum unsey
kaheen ziada hidaayat yaafta hotey (jeem) ab tu tumhaarey rab k pass se
khuli daleel aur hidayat-o-rehmat agai (jeem) pus usey ziada zalim kaun
hoga jo Allah ki aayaton ko jhutlaaye ya unsey rogerdaan ho (toye)
ankhareeb hum unlogon ko jo hamaari aayaton se rogerdaan hotey hain
baqadar unkey rogerdaan honey k buri saza dengey 6:157 ab kia wo uskey
muntazer hain k unkey pass farishtey aayein ya tumhaara perwerdigaar

