Page 237 - Quran-e-Kareem
P. 237
th
th
6 Sureh Al-Anam (237) 8 para
aaye ya tumhaarey perwerdigaar ki kuch nishaniyan aayein jisdin
tumhaarey perwerdigaar k baaz nishaniyan aajaingi (usdin) kisi nafs ko
uska imaan faida na dega jabtak k imaan pehley se le na aaya ho ya imaan
ki haalat mein naiki na kerchuka ho (toye) tum kehdo k tum intezaar
kertey raho hum bhi muntazir hain 6:158 beshak wo log jinhoney apney
deen mein phoot daali aur guroh guroh hogaye tumko unsey kisi maamley
mein sarokaar nahi (toye) iska faisla khuda k hath hai phir wo unko unkey
kertoot se agah kerdega 6:159 jo ek naiki layega tu uskey liye uska dus
guna hai (jeem) aur jo ek badi layega usko saza sirf ussi k mikhdaar k
mawafiq di jayegi aur unper ziadati na ki jayegi 6:160 (aye rasool) tum
kehdo beshak mujhko merey perwerdigaar ney rah-o-rast ki hidaayat ki
(jeem) (wo) paidaar muzhab raastey k taraf mael ibraheem ki millat (hai)
(jeem) aur wo mushrikeen se na they 6:161 tum kehdo k meri namaz aur
meri ibaadat aur mera jeena aur mera merna sab aalamon k palney waley
khuda k wastey hai 6:162 (laa)

