Page 238 - Quran-e-Kareem
P. 238
th
th
7 Sureh Al-A’raf (238) 8 para
jiska koi shareek nahi (jeem) aur ussi ka mujhko hukum dia gaya hai aur
mein sab se pehla itaayat kerney wala hoon 6:163 kehdo kia mein khuda k
siwa koi aur perwerdigaar talaash karoon halaankey wo her cheez ka
perwerdigaar hai (toye) aur koi nafs koi amal na kare karega mager apney
hi wabaal k liye (jeem) aur koi uthaney wala kisi doosrey ka bojh na
utaheyga (jeem) phir qayamat k din tum sab ki baazghasht apney
perwerdigaar k huzoor mein hogi aur jis maamley mein tum ikhtelaaf kia
kertey they usey wo tumko agah kerdega 6:164 aur wo (khuda) wohi tu hai
jisney tumko zameen ka mutasarif banaaya aur tum mein se baaz ko baaz
per darjon mein qofiyat di taakey jo nemat tumko di hai usmein tumhaari
aazmaish karey(toye) beshak tumhaara perwerdigaar jald azaab deney wala
aur beshak wo bara bakhshney wala (aur) reham kerney wala hai 6:165
(hamza)
Surah al-a’raf (makee) 206 ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahmaan o raheen khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Aleef laam meem soaad 7:1 (jeem) (aye rasool) ye kitaab tumper nazil ki
gayi k (logonko) iskey zariye se darao aur her momin k liye naseehat ho
pus tum (takzaeb-o-eeza k khof se) ussey

