Page 271 - Quran-e-Kareem
P. 271
th
7 Sureh al-araf (271) 9th para
Khuda aur uske kalemaat per imaan rakhta hai aur ussi ki pairwee karo taa
k tum (bhi) hidaayat yaafta hojaao 7:158 aur qoum e musa mea se ek
grow unka bhi tha jo raah haq batlaate they aur haq k bamoujuub faysle
kiya karte they 7:159 aur humne unko (yaani khoum musa ko) baara
gharaanoun mea grow grow karke taqseem (2) kardiya tha (toye) aur musa
ki taraf jab uski khoum ne usse pani maanga humne ye wahi bheji k tum
phattar per apna asaa maaro pass us se baara chashme bayh nikley (toye) k
her grow apnay apnay chashme ko khoob pehchaanta tha aur humne
unnper baadal se saaya kiya tha aur unper mann o salwaa(khaane peenay
ki cheezain) naazil kiya tha (aur usne ye kehdiya tha k ) (toye) jo paak
cheezain humne tumko dee hai unmea se khaao piyo (toye) aur unhonay
hamara kuch nuqsaan nahi kiya wa(magar) lekin apni hee jaanoun per
zulm kiya karte they 7:160 aur (uss waqt ko yaad karo) jab k unse ye kaha
gaya k iss gaaon mea aadab ho aur ismea se jahan jahan se tumhaara ji
chaahe khaao (piyo) aur lafz “hittaa” apni zabaan per jaari karo aur iss
darwaaze mea sajda karte huye daakhil ho

