Page 270 - Quran-e-Kareem
P. 270
th
7 Sureh al-araf (270) 9th para
aur unke liye jo hamaari aayatoun per imaan rakhte hai rehmat likhdunga
7:156(jeem) wo log jo rasool ki pairwee karte hai (yaani) (1) uss nabi e
ummi ki jiska zikr wo apnay paas taurayt aur injeel mea likha hua paate
hai jo inko nayki ka hukum deta hai aur badee se baaz rakhta hai aur paak
cheezoun ko unke liye halaal qaraar deta hai aur napaak cheezoun ko
unper haraam thayraata hai aur unke wabaal (museebat) ko aur un
tauqoun ko jo unke galey mea parhey they unse duur karta hai (toye) pass
jo log ussper imaan laye aur (jinhonay ) usko quwwat pohonchaayi aur
uski madad ki aur uss nuur ki pairwee ki jo uske saath saath naazil hua hai
(laa) wahi to (poori poori) falaa pane waale hai 7:157(19AIN6-9) Tum
kehdo k aye aadmiyoun mea tum sab ki taraf khuda ka payghaam
laanewala houn wahi khuda jiska ikhteyaar aasmaanoun mea bhi hai aur
zameen mea bhi (jeem) siwaaye uske koi aur maabud nahi hai wahi jilaata
hai aur wahi marta hai (swat) pass tum allah per aur uske rasool nabi
ummi per imaan laao jo khud

