Page 266 - Quran-e-Kareem
P. 266
th
7 Sureh al-araf (266) 9th para
Aye hamaare parwardigaar tu mujhey dikhlaade k mea tujhey dekhlun
(toye) farmaya k tuu mujhey hargiz na dekhega wa lekin pahaard ki taraf
nazar kar agar wo apni jagah per thayra raha to aayenda tu mujhey dekh
lega (jeem) pass jiss waqt uska parwardigaar (yani uska payda kiya hua
nuur) pahaad (waaloun) k liye jalwa afroz hua to uske tukre tukre kardiye
aur musa ghash khaaker gir parhey phir jab hosh mea aaye kehne lagey
teri zaath munazza hai mea teri hee huzoor mea touba karta hun aur
mea(1) (iss baat per k tuu dekha nahi jaa sakta) sabse pehla imaan laane
wala hun 7:143 farmaya aye musa beshak maine tumko apni risaalat aur
apnay kalaam k liye kul aadmiyoun se muntakhab kar liya hai (zaal) pass
jo kuch maine tumko diya hai usse lo aur shukr guzaar raho 7:144 aur
humne louhoun mea unke liye nasiyyat ki her baat aur her cheez (2) ki
tafseel likhdi thi (aur unko ye hukum diya tha ) k (jeem) isko mazboot
hokar lo aur apni khoum ko hukum sunaado k inmea se achi achi baatoun
ko ikhteyaar karle (toye) ankhareeb mea tumko naafarmaanoun ka
makaan dikhladunga 7:145 ankhareeb mea apni nishaniyoun se unnlogoun
ko hataa dunga jo zameen per naa haq takabbur kiya karte hain (toye) aur
agar wo her ek nishani ko dekh bhi lenge to bhi uss per imaan

