Page 268 - Quran-e-Kareem
P. 268
th
7 Sureh al-araf (268) 9th para
Laut ker aaye (laa) farmaya k tumne mere baad kia hee bura bartaav kiya
hai kia tumne apnay parwardigaar ki nisbat jaldi ki (jeem) aur (ghusse se)
(1) lauhayn daaldeen aur apnay bhai ka sir pakar ker (2) apni taraf
khencha (toye) (unhonay) arz ki k (3) aye mere maa jaayein ba tehqeeq
qoum ne mujhey zayeef samjha aur qareeb tha k mujhko qatl karde (zaal)
pass aap mujhper dushmanoun ko na hanswaayein aur zaalim logoun k
saath mera shumaar na karein 7:150 (musa ne ) arz ki aye mere
parwardigaar tuu mujhey aur mere bhai ko baksh de aur hum dono ko
apni rehmat mea daakhil karle aur tuu hi sab rehem karne waaloun se
zyaada rehem karne wala hai 7:151(18AIN4-8) ba tehqeeq jinn logoun ne
bachra pooja ankhareeb unka rab ki taraf se unnper ghazab aayega aur
zindagaani dunia mea unko zillat mileygi (toye) aur hum aur hum
aftrapardaazoun (badmaashoun)ko aesa hee badla diya (4) karte hai 7:152
aur jin logoun ne baddiyaan ki phir uske baad touba karli aur imaan le
aaye beshak tumhaara parwardigaar baad e touba karlene k barha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 7:153 aur jab musa ka ghussa
fard hua

