Page 272 - Quran-e-Kareem
P. 272
th
7 Sureh al-araf (272) 9th para
To hum tumhaari khataayen baksh denge (toye) ankhareeb hum nayki
karne waaloun ko barhaayenge 7:161 to inn logoun ne jo unmea se zaalim
they uss baat ko badalker jo unse kahi gayi thi dusri kehdi phir humne bhi
bajaaye iske k wo naafarmani kiya karte they unnper aasmanse azaab bheja
7:162(20AIN5-10) aur unse uss gaaon ka haal daryaaft karlo jo samandar k
kinaare tha k (iss gaaon waale) ehkaam sabt(haftey bhar k ehkaam) mea
zyaadati kiya karte they (yaani) unke sabt k din machliyaan (pani per)
kinaare aajaya karti thi aur jissdin unka sabt na hota tha (laa) iss tarah na
aaya na karti thi (jeem)(pesh) (aur iss tarah)(jeem)(pesh) bawaja iske k wo
naafarmaani kiya karte they hum unki aazmayesh kiya karte they
7:163(swat) aur (uss waqt ko yaad karo ) jab k unmea se ek grow ne ye
kaha tha k tum unn logoun ko nasiyyat hee kyun karte ho jinko allah
halaak karne wala hai ya unko sakht azaab dene wala hai (toye) to (jawaab
mea unhonay ) kaha tha k (hum to) tumhaare rab ki huzoor mea ilzaam
utaarne ki gharz se (nasiyyat karte hai)7:164 aur issliye k shaayed ye log
baaz aajaye phir jiss waqt unhonay usko bhulaadiya jiski unko nasiyyat ki
gayi thi to unn logoun ko najaat di

