Page 267 - Quran-e-Kareem
P. 267
th
7 Sureh al-araf (267) 9th para
Na laayenge (jeem) aur agar wo nayki ka raasta dekh lenge to usse apna
raasta na banaayenge (jeem) aur agar gumraahi ka raasta dekh paayenge to
usse apna raasta bana lenge (toye) ye iss wajah se k unhonay hamaari
nishaaniyoun ko jhutlaya aur unse ghaafil rahey 7:146 aur jinn logoun ne
hamaari nishaaniyuon ko aur aakheratt se kaam parh jaaneko jhutlaya
unke amaal baatil hogaye (toye) kia unko siwaaye uss amal k jo kuch wo
kiya karte they koi aur badla diya jaayega 7:147(17AIN6-7) aur musa ki
khoum ne unke baad apnay zewaroun se ek bachra bana liya (wo) ek
khokli (1) muurat thi jiss mea gaaye ki se awaaz thi (toye) kia wo itna nahi
samajte they k wo (bachra) na unse baat karta tha aur na unko koi raasta
bataata tha (meem) (iss per bhi) unhonay ye zulm kiya k usse pooja 7:148
aur jab wo hadd se zyaada naadam huye aur ye samajh gaye k hum
gumraah ho chukay (laa) to unhonay arz ki k agar hamara parwardigaar
hum per rehem na farmaayega aur hamaare gunah muaaf na kardega to
hum zaroor nuqsaan uthaane waaloun mea se ho jaayenge 7:149 aur jab
musa apni khoum ki taraf sakht ghussa mea aur ranjeeda

