Page 319 - Quran-e-Kareem
P. 319
th
9 Sureh at-taubah (319) 10th para
Aur jab koi suurat (iss hukum k saath ) naazil ki jaati hai k tum allah per
imaan laao aur uske rasool k saath hoker jehaad karo to unmea se jo
saahebaan e muqdarit(khudrat waale) hain wo tumse ijaazat maangte hain
aur kehte hain k humko chor dijiyea k hum baythe rehne waaloun k saath
rahein 9:86 wo issper raazi hogaye hain k aurtoun k saath rahein (1) aur
unke diloun per chaapa laga diya gaya hai pass wo (kuch) samajte nahi
9:87 lekin rasool ne aur unn logoun ne jo unke saath imaan laaye hain
apnay maaloun aur jaanoun se jehaad kiya (toye) aur unhee k liye sab
khoobiyaan hai(zaal) aur wahi (poori poori) falaah paane waale hain 9:88
allah ne unke liye jannatain tayyar ki hai jinke neechay naddiyaan bhayti
hain unmein wo hamesha (hamesha) rehne waale hongay(toye) yahee to
barhi kaamyabi hai 9:89(11AIN9-17) aur badduoun mea se uzhar(bahaana)
karne waale aaye k unko bhi (baythe rehne ki) ijaazat dee jaaye aur jinn
logoun ne allah aur uske rasool se jhuut bola aur baythe rahey (toye)

