Page 321 - Quran-e-Kareem
P. 321
th
th
9 Sureh At-taubah (321) 11 para
Jab tum unke paas palat kar aao ge to woh tumhaare paas user(bahana)
banaa kar laayenge (toye) tum un se kehdo k (jhootay) user(bahaane) na
banao hum tumhaari baat har giz na maanaynge. Khudae e taala humko
tumhaare ehwaal se (pehle hee) matla(itteylaa) kar chuka hai aur anqareeb
Allah aur Allah ka rasool tumhaare tarze amal ko dekh lenge phir tum
ghaib o hazir k jaanne waale k paas lautaaye jaao ge pas jo jo amal tum
kiya karte thay us se woh tumko aagaah kar dega 9:94 Anqareeb wo
tumhaare saamne jabke unke paas tum palat kar aaoge (aakar) khuda ki
qasam khayenge k tum unse dar guzar karo (toye) pas tum bhi unse dar
guzar karna (toye) wo yaqeenan najis hain (za) aur unka thikaana ba sabab
un aamaal k jo wo kiya karte hain jahannum hai (jeem) 9:95 Wo tumhaare
saamne isliye halaq uthaate hain k tum unse raazi ho jaao (jeem) phir agar
tum unse raazi bhi ho jaao to Allah to na farmaan logon se (yaqeenan)
raazi na hoga 9:96 Badoo (bedoween)log kufr aur nifaaq me bohhot hi
barhe huwe hain aur ussi laaiq hain jo ahkaam Allah ne apne rasool par
naazil kiye hain un se aagaah na hon (toye) aur Allah jaanne waala (aur)
hikmat waala hai 9:97 Aur badduon me se koi koi

