Page 322 - Quran-e-Kareem
P. 322
th
th
9 Sureh At-taubah (322) 11 para
aisa bhi hai k jo kuch wo (raahe khuda mea) kharch karta hai ussay
tawaan (ransom) theraata hai aur tum par zamaane ki gardishon k parne
ka muntazir rehta hai (toye) buri gardish unhi par paregi aur Allah sunne
waala (aur) jaanne waala hai 9:98 Aur ganwaar(illiterate gaaon mea rehne
waale) araboun me se koi koi aisa bhi hai jo Allah par aur qiyamat k din
par imaan rakhta hai aur jo kuch bhi (raahe khuda me) kharch karta hai
usay khuda e taala ki qurbat ka aur rasool ki dua ka waseela samajhta hai
(toye) aagah ho k wo kharch karna zaroor unke liye qurbat ka baais hoga
(toye) anqareeb khuda e taala unko apni rehmat me daakhil kar lega (toye)
beshak Allah bara bakhshne waala (aur) rehem karne waala hai 9:99 (ain)
(12 AIN 10-1) Aur muhaajireen o ansaar mea se sab se pehle (imaan ki
taraf) sabqat karne waale aur wo log jinhon ne nayki me unki perwi ki
khuda e taala unse raazi ho gaya aur wo khuda e taala se raazi ho gaye aur
unke liye aisay baagh tayyar kiye hain jinke neeche nadyaan behti hain wo
un me hamesha hamesha rahenge (toye) yehi sab se bari kaamiyaabi hai
9:100 Wo tumhaare aas paas k budduon me se baaz munafiq hain (toye)
aur baaz ehle madina (waqf) me se (bhi) nifaaq par arhey hain (aay
rasool) tum unko nahi jaante (toye) hum unko khoob jaante hain (toye)
anqareeb hum unko dohra

