Page 323 - Quran-e-Kareem
P. 323
th
th
9 Sureh At-taubah (323) 11 para
azaab denge phir wo baray azaab ki taraf lotaye jayenge 9:101 Aur doosre
kuch aise bhi hain jinhon ne apne gunaahon ka iqraar bhi karliya (aur)
unhon ne amal nek ko amal e bad k saath makhloot kardiya hai (toye)
umeed hai k Allah unki tauba qabool karle (toye) beshak Allah bara
bakhshne waala (aur) rehem karne waala hai 9:102 Unke maalon me se
sadqa lelo k unko bhi paak kardo aur us sadqa lene ki waja se unke maal
ko bhi barhaado aur unke liye dua e rehmat karo (toye) k tumhaari dua e
rehmat karna unki taskeen ka baais hoga (toye) aur Allah sunne waala
(aur) jaanne waala hai 9:103 Kya unhon ne is baat ko nahi jaana k Allah
apne bandon ki tauba qabool karta hai aur (unse) sadaqaat le leta hai aur
ye k beshak Allah hi sab se bara tauba qabool karne waala (aur) rehem
karne waala hai 9:104 Aur unse ye kehdo k tum amal kiye jaao anqareeb
Allah aur uska rasool aur amaan dene waale tumhaare aamaal ko dekh
lenge (toye) aur anqareeb tum ghaaib o haazir k jaanne waale ki huzoor
me waapis kiye jaaoge aur jo jo kuch tum kiya karte thay uss se wo tum ko
aagaah kardega 9:105 (jeem) Aur kuch aisay bhi hain jo khuda k faislay k
umeed waar hain k dekhen wo unko azaab deta hai ya unki tauba qabool
karleta hai (toye) aur khuda e taala sahib e ilm o hikmat hai 9:106

