Page 324 - Quran-e-Kareem
P. 324
th
th
9 Sureh At-taubah (324) 11 para
Aur wo log jinhon ne ek masjid, zarrar pohonchaane k liye aur momineen
k maa bain phoot daalne k liye aur jo shakhs pehle se khuda aur khuda k
rasool se lara karta tha usko ghaat ka moqa dene k liye banaayi hai aur
wo zaroor half utha utha kar ye kahenge k humara iraadah, wo usse
siwaaye neki ke, aur kuch bhi na tha (toye) haalanke Allah is baat ki
gawaahi deta hai k wo bil yaqeen jhootay hain 9:107 uss (masjid) mea tum
kabhi namaaz na parhna (toye) albatta wo masjid jiski bunyaad pehle hi
din se taqwa par rakhi gayi us ki zyadah mustahiq hai k tum us me
namaaz parhte raho (toye) us me aise log hain jo paak rehne ko dost
rakhte hain aur Allah (bhi) paak rehne waalon ko dost rakhta hai 9:108
Aaya wo shakhs jo apne (deen ki) bunyad khuda k khauf aur uski
khushnoodi par rakhe behtar hai ya wo shaks jo apni bunyaad o phatay
huwe kararay k kinaaray par rakhe jo gira chahta ho phir wo maa (saath)
uske aatish e jahannum me jaa gire (toye) aur Allah zaalim logon ki
rehbari nahi farmaata 9:109 Unki bunyaad jinhon ne (ye masjid) banai thi
hamesha unke dilon me shak ka baais rahegi jab tak k unke dilon k tukre
na urr jayen (toye) aur Allah saahibe ilm o hikmat hai 9:110 (ain) (13 AIN
11-2) Beshak Allah ne mominoun se unki jaanen aur unke maal iss baat k
muaawayza mea

