Page 326 - Quran-e-Kareem
P. 326
th
th
9 Sureh At-taubah (326) 11 para
tha jo unhon ne us se kar liya tha (jeem) phir jab un par ye baat khul gayi
k wo khuda ka dushman hai to unhon ne us se tabarra kiya (toye) beshak
Ibrahim bare naram dil (aur) burdbaar thay 9:114 Aur khuda ka ye kaam
nahi hai k kisi qoum ko hidaayat karne k baad unse taufeeq e hidaayat
salab karle (cheen le) jab tak k un par khol na de k unko kiss kiss cheez
se bachna chahiye (toye) beshak Allah har cheez se aagaah hai 9:115
Beshak aasmaanon ki aur zameen ki baadshaahi khuda hi ki hai (toye)
wohi jilaata aur maarta hai (toye) aur tumhaara Allah k siwa na koi haami
hai aur na madadgaar 9:116 Beshak Allah ne nabi aur un muhaajireen aur
ansaar ki tauba qubool karli jinhon ne tangi k haal me (bhi) nabi ka saath
diya tha baad iske k un me se ek fareeq ka dil haq se hatt chala tha phir
usne unki tauba qabool ki (toye) woh beshak woh unpar bara meherbaani
karne waala (aur) rehem karne waala hai 9:117 (la) Aur un teenon ki (bhi)
tauba qabool ki jo pichay chor diye gaye thay yahan tak k zameen un par
baawujood apni saari wusat k tang ho gayi thi aur unko apni jaan bhi do
bhar maaloom hone lagi thi aur

