Page 325 - Quran-e-Kareem
P. 325
th
th
9 Sureh At-taubah (325) 11 para
khareed liye hain aur unke liye jannat hai (toye) woh raahe khuda me
larte hain pas woh qatal karenge bhi aur qatal kiye bhi jayenge (waqf) issi
par sacha waada taurait me aur injeel me aur quran me maujood hai (toye)
aur Allah se zyadah apna ahad poora karne waala kon hoga pas ye sauda
jo tumne Allah se kiya hai is se khush ho jaao (toye) aur yehi sab se bari
kaamiyaabi hai 9:111 Wo tauba karne waale ibaadat karne waale taareef
karne waale roza rakhne waale rukoo karne waale sajdah karne waale neki
ka hukum dene waale aur badi se baaz rakhne waale aur ehkaam e khuda
ki hifazat karne waale hain (toye) aur unhi eimaan waalon ko khush
khabri suna do 9:112 Nabi ka aur un logon ka jo eimaan laye hain ye
kaam nahi hai k wo mushrikoun k liye dua e maghfirat maange baad uske
k un par ye baat khul chuki ho k wo jahunnami hain go wo qareebi rishte
daar hi kyun na ho 9:113 Aur Ibrahim ka apne chacha k liye dua maangna
to ek waade k sabab se

