Page 327 - Quran-e-Kareem
P. 327
th
th
9 Sureh At-taubah (327) 11 para
unko ye yaqeen ho gaya tha k khuda (ke gazab) se bhaag kar kahin aur
panaah nahi hai siwaye iske k ussi ki panaah maangi jaye (toye) phir
khuda ne unki tauba qabool karli taake woh pehli haalat ki taraf ood karen
(waapas aayein) (toye) beshak Allah bara tauba qabool karne waala (aur)
rehem karne waala hai 9:118 (ain) (14 AIN 8-3) Aye eimaan laane waalo
Allah se daro aur sachon k saath saath ho raho 9:119 Madina k rehne
waaloun ka aur unke aas paas jo baddoo rehte hain unka ye kaam nahi hai
k woh rasoolullah ka saath chor kar bayth rahein aur na ye k rasool ki jaan
se zyadah apni jaan ki perwa karen (toye) ye isliye k unko raahe khuda me
pyaas ki takleef pohonchti hai to koi ranj pohonchta hai to aur bhook ki
takleef hoti hai to aur koi aisa raasta chalte hain jis se kuffaar ko ghussa
dilayen to aur dushmanoun se koi cheez khench lete hain to behar (harr)
soorat unke liye amal e saaleh likh liya jaata hai (toye) beshak Allah neko
kaaron ka ajar zaaya nahi karta 9:120 Aur woh chota kharch karte hain to
aur bara kharch karte hain to aur koi musafat mea karte hain to woh bhi
unki likh li jaati hai taakay jo jo amal wo kiya karte thay us se behtar badla
Allah taala

