Page 328 - Quran-e-Kareem
P. 328
th
th
9 Sureh At-taubah (328) 11 para
unko de de 9:121 Aur mominoun k liye ye kuch zaroor nahi hai k wo sab
k sab ghar se nikal paren (toye) pas unke liye har bare groh mea se ek
chota sa jattha(chota groh) is gharz se kyun nahi nikalta k deen ka ilm
haasil kare aur jab apni qoum me palat kar aaye to unko daraye taakay
woh log bhi bachen 9:122 (ain) (15 AIN 4-4) Aye eimaan laanay waalo
kuffaar mea se jo tumhaare aas paas hain un se larte raho aur zaroor hai k
woh tum mea sakhti mehsoos karen aur ye jaan lo k Allah parhezgaaron k
saath hai 9:123 Aur jis waqt koi surat naazil ho jati hai to koi koi un mea
se aisa bhi hai jo ye keh deta hai k tum mea se aisa kon hai jiska us surat
ne eimaan barha diya ho pas jo log eimaan laaye hain unka to us surat ne
eimaan barha hi diya aur woh khush bhi ho rahe hain 9:124 Aur rahe wo
log jinke dilon me rog hai unke shak par ussi surat ne kuch aur shak barha
diya hai aur woh kufr ki haalat me mar jayenge 9:125 Aaya wo ye nahi
dekhte hain k har saal ek martaba ya do martaba unki jaanch

