Page 942 - Quran-e-Kareem
P. 942
th
84th Sureh al-Inshiqaq (942) 30 para
Huzoori mea pohonchne ki sakht koshish karne wala hai tu usse jaa
mileyga 84:6(jeem) pass jiss shaks ko uska naam e amaal uske daahiney
haath mea diya jaayega 84:7(laa) to aage chalker usse hisaab bhi asaan (1)
liya jaayega 84:8(laa) aur wo apnay baal bachoun ki taraf khush khush
palat aayega 84:9(toye) aur raha jiska naam e amal uske passé pusht se diya
jaayega (2) 84:10(laa) to wo aage barhker maut hee maut (3) pukaarega
84:11(laa) aur jahannum waasil hoga 84:12(toye) beshak wo apnay ahal o
ayaal mea khush( khush) tha 84:13(toye) yakheenan wo ye gumaan karta
tha k phir palat kar na aayega 84:14(jeem) (palatna) zaroor hai (jeem)
beshak uska parwardigaar uska nigraah tha 84:15(toye) pass khasam hai
shafaq ki 84:16(laa) aur raat ki aur jinn cheezoun ko wo dhaank leti hai
unki 84:17(laa) aur chaand ki jab k wo poora hojaaye 84:18(laa) tum zaroor
manzil ba manzil (pehloun k raaste per chalogay(4) 84:19(toye) to unhe kia
hogaya hai k wo imaan nahi laate 84:20(laa)aur jab unke saamne quran e
majeed parha jata hai (5) to sajda nahi karte 84:21(toye) baat ye hai k jo
log kaafir hogaye hai wo jhutlaate hai 84:22(zaal)(swat) to jo kuch wo
diloun mea kehte hai allah uss se khoob waaqif hai 84:23(zaal)(swat) ab
tum unko dardnaak azaab ki khush khabri sunaado 84:24(laa)

