Page 944 - Quran-e-Kareem
P. 944
th
86th Sureh at-tariq (944) 30 para
Phir tauba naa ki to unke liye jahannum ka azaab hai aur unhee k liye
jalne ka azaab (bhi) hai 85:10(toye) yakheenan jo log imaan laaye aur
unhone nayk amal kiye unke liye aese baaghat hai jinke neechey nadiyaan
behti hai (toye) yahee to badhi kaamyabi hai 85:11(toye) yakheenan
tumhaare parwardigaar ki giraft badhi sakht hai 85:12 (toye) beshak wahi
naye sarey se payda karta hai aur wahi dubara (payda) karega 85:13(jeem)
aur wo badha bakhashne wala badha muhabbat karne wala hai 85:14(laa)
badhey arsh ka maalik 85:15(laa) (aur) jo kuch chaahe uska karne wala hai
85:16(toye) aaya tumhaare pass lashkaroun ki khabar aayi ? 85:17(laa)
(yaani) firaoun o samood ki 85:18(toye) baat ye hai k jo kaafir hogaye hai
wo jhutlaane mea lagey huye hai 85:19(laa) aur allah her taraf se unka
ahaata kiye huye hai 85:20(jeem) haqeeqat ye hai k ye buzurg quran
85:21(laa) loh-e-mehfooz mea hai 85:22(1AIN22-10)
SUREH AT – TARIQ (1) (MAKEEH) 17 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Khasam hai aasmaan ki aur khasam hai (ghub andheri) raat mea aane
waale ki 86:1(laa) aur tum kia samjhey k (ghub andheri) raat mea aane
wala kia hai? 86:2(laa)

