Page 146 - Quran-e-Kareem
P. 146
th
th
4 Sureh An-Nisa (146) 5 para
Jab tak k wo raah e khuda mea hijrat na karey (toye) phir agar wo
rogardaan ho to tum unko giraftaar karo aur jahan unko paao khatl
kardaalo aur unmea se kisi ko na dost banaao aur na madadgaar 4:89(laa)
siwaaye unke jo aisee khoum se jaa miley ho k tumhaare aur uss khoum k
maabayn maayedah ho ya tumhaare paas iss haalat se aaye k tumse larhne
mea ya apni khoum se larhne mea dil tangg hotey ho (toye) aur agar allah
chahta to unko tumper musallat kardeta phir wo tumse zaroor larhte
(jeem) pass agar wo tumse (1) alag rahey aur tumse na larey aur tumhey
sulah ka payghaam de to (unper taadee karneka) khuda ne tumhaare liye
koi raasta nahi rakha hai 4:90 ankhareeb tum kuch aur logoun ko aesa
paaogay k wo chaahte hai k tumse bhi aman mea rahey aur apni khaum se
bhi bachey rahey (toye) jiss waqt fitna ki taraf bulaaye jaaye andha dhuun
usmea gir parey (jeem) agar wo log tumse kinaara kashi na ho aur tumse
sulah na karey aur apnay haath na rokay to unko giraftaar karlo aur jahan
paao unko khatl kardo (toye)

