Page 147 - Quran-e-Kareem
P. 147
th
th
4 Sureh An-Nisa (147) 5 para
Aur unhi per humne tumko khula tasallooot (ghalba) diya hai 4:91
(12AIN4-9) aur kisi momin ka ye kaam nahi k kisi momin ko khatl karey
siwaaye iske k ghalti (1) hojaaye (jeem) aur jo shaks ghalti se kisi momin
ko khatl karde to uske zimmey hai ek imaandar kharda ka azaad karna (2)
aur poora khoonbahaa uss (maqtool) k waaris ko dena siwaaye iske k wo
maaf karde (toye) phir agar wo maqtool aisee khaum se hai jo tumhaari
dushman hai lekin hai momin to (khaatil k zimmay) ek imaandar burda
ka azaad karna hai (toye) aur agar aisee khaumm se hai k tumhaari khaum
k aur uske maabayn maayedah ho to uske waaris ko poora khoonbahaa
dena aur ek imaandaar burda ka azaad karna (laazim hai)(jeem) phir jisko
(burdah azaad karna)mayassir na ho to khuda ki taraf se touba karne k
liye uske zimmey mutawaatar do mahinay k rozay hai (toye) aur allah
saaheb e ilm o hikmat hai 4:92 aur jo shaks kisi momin ko jaan buujh ker
maardalega (4) uska badla jahannum hai jismea wo hamesha (hamesha)
rahega aur ussper khuda ghazabnaak hoga aur ussper laanat karega aur
uske liye

