Page 148 - Quran-e-Kareem
P. 148
th
th
4 Sureh An-Nisa (148) 5 para
Badhaa azaab tayyar kar rakha hai 4:93 aye imaan laane waaloun ! jab tum
raah e khuda mea baahar niklo to tehqeeq karlo aur jo shaks tumse (ba
khaayeda islam) salaam karey to ye na kehdo k tuu momin nahi hai (jeem)
tum zindagaani dunia ka asaa sa dhuundte ho halaanke badhey badhey
munaafe khuda k paas hai (toye) tum bhi pehle se aise hee they phir
allah ne tumper ehsaa kiya pass batehqeeq karliya karo (toye) yakheenan
allah usse jo kuch tum karte ho khabardaar hai 4:94 mominoun mea se
gher mea baythe rehne waale siwaaye jo maazuur hai aur raah e khuda
mea apnay maaloun aur jaanoun se jehaad karne waale baraabar nahi hai
(toye) allah taala ne maal aurjaan se jehaad karne waaloun ko bayth rehne
waaloun per darjey ki ro se fazeelat dee hai (toye) halaanke sawaab ka
waada her ek se kiya hai (toye) aur jehaad karnewaaloun ko

