Page 150 - Quran-e-Kareem
P. 150
th
th
4 Sureh An-Nisa (150) 5 para
K liye apnay gher se hijrat karke niklega phir usse maut aa legi to uska ajr
yakheenan khuda k zimmay raha (toye) aur allah badha bakhashne wala
(aur) rehem karne wala hai 4:100(14AIN4-11) aur jab tum zameen mea
safar karte ho ya tumko khauff ho k kaafir tumse fasaad karbaythingay to
tumper kuch ilzaam nahi k tum namaaz mea qasr kardo (toye) beshak
kaafir tumhaare khuley dushman hai 4:101 aur (aye rasool) jab tum unmea
ho aur tum unko namaaz parhaane lago to laazim hai k unmea se ek grow
tumhaare saath namaaz parhe iss haal mea k apnay hathyaar liye
rahey(qaff) pass jab wo sajda karchukey to unhe laazim hai k wo tumhaare
peechey aajaye (swat) aur dusra grow jisne abhi namaaz nahi parhi hai
unhe chahyea k wo aagay aajaye phir wo tumhaare saath namaaz parhe
lekin unko bhi laazim hai k wo apni hifaazat ki cheezein aur hathyaar liye
rahey (jeem) kaafir is baat ko pasand karte hai k agar wo tumko tumhaare
hathyaaroun se aur tumhaare

