Page 151 - Quran-e-Kareem
P. 151
th
th
4 Sureh An-Nisa (151) 5 para
Asbaab se ghaafil paaye to wo ek dafa hee tumper hamla karde (toye) aur
agar tumko baarrish se takleef ho ya tum beemar ho to tum per kuch
gunah nahi hai k tum apnay hathyaar rakhdo aur waise apni hifaazat karo
(toye) beshak allah ne kaafiraoun k liye ruswa karnewala azaab mahiyya
kiya hai 4:102 phir jab tum namaaz khatam karchuko to kharey kharey
baythe baythe lete lete khuda ki yaad kiya karo (jeem) phir jab tum
mutmayeen hojaao to (poori) namaz parho(jeem) beshak namaaz
mominoun per waajib hai aur likhi gayi hai (1) 4:103 aur unnlogoun ka
taakhub(peecha) karne mea susti na karo (toye) agar tumko takleef
pohonchti hai to unko bhi issi tarah takleef pohonchti hai jiss tarah tumko
takleef pohonchti hai (jeem) halaanke tum allah se jo umeed rakhte ho wo
umeed wo nahi rakhte (toye) aur khuda saaheb e ilm o hikmat hai
4:104(15AIN4-12) (aye rasool) beshak humne tumhaari taraf kitaab e
barhaq utaari taake tum aadmiyoun k maabayn bamujib (unkey maamlaat
k mutaaib) uske faysle karo jo khuda tumhey dikhla chuka hai (2) (toye)
aur tum

