Page 152 - Quran-e-Kareem
P. 152
th
th
4 Sureh An-Nisa (152) 5 para
Khayaanat karne waaloun k tarafdaar na bano 4:105(laa) aur allah se
baksheesh maango (toye) beshak allah barha baksheesh karne wala
(aur)rehem karne wala hai 4:106(jeem) aur jo log apni zaat se khayaanat
karte hai tum unki taraf se jhagra na karo (toye) beshak allah unko dost
nahi rakhta jo khaayen(khayaanat karne wala) (aur) gunehgaar hai
4:107(jeem)(laa) logoun se to ye chupaate hai aur khuda se nahi chupaate
halaanke jab raatoun ko unnbaatoun ka mashwera karte hai jo khuda ko
(1) naa pasand hai to khuda unke saath moujuud hota hai (toye)aur jo jo
kuch wo amal karte hai khuda (ka ilm) uss sab ko ghere huye hai 4:108
zindagaani dunia mea to unki taraf se ab tum jhagarte ho (qaff) qayamat k
din unki taraf se kaun jhagra karega ya kaun unka wakeel banega ? 4:109
aur jo shaks koi badee karey ya apni zaath per zulm karey phir khuda se
baksheesh maangle to wo allah ko badha bakhashne wala (aur) rehem
karne wala paayega 4:110 aur jo shaks koi gunah karega siwaaye iske nahi
k wo apni hee zaat k liye wabaal (museebat) payda karega (toye) aur
khuda saaheb e ilm o

