Page 153 - Quran-e-Kareem
P. 153
th
th
4 Sureh An-Nisa (153) 5 para
Hikmat hai 4:111 aur jo shaks sahwan(jaan booch ker) ya amadan(iraade)
koi gunah karey phir uska ilzaam wo kisi begunah ko dede to yakheenan
wo bohtan aur sareeh gunah ka mulzim hoga 4:112(16AIN8-13) aur agar
khuda ka fazal aur uski rehmat tum per na hoti to unmea se to ek grow ne
ye iraada kia tha k tum ko bhatkaade (toye) halaanke wo apnay aap hee ko
bhatkaate aur tumhaara kuch bhi na bigaardte(toye) jiss haal mea k allah
ne tum per kitaab aur hikmat naazil ki hai aur jo kuch tum najaante they
uski tum ko taleem dee hai (toye) aur allah ka tum per bohhot barha fazal
hai 4:113 unki bohhot see sargoshiyan karne mea koi khair o khuubi nahi
hai siwaaye uske jo sadqa dene ya nayki karne ya logoun k maabayn mayl
jol karaadene (1) ki salaah de (toye) aur jo shaks khuda ki razaa joi(raazi)
k liye aesa karega ankhareeb hum uski bohhot badha ajar ataa karenge
4:114 aur jo shaks baad iske haq uske liye khul jaaye rasool ki mukhaalifat
ikhtiyaar karega aur mominoun k

