Page 154 - Quran-e-Kareem
P. 154

th
                 th
               4   Sureh An-Nisa                           (154)                       5   para

               Raaste k siwaa aur koi raah ikhtiyaar karega hum bhi usse ussi raah per


               chalaayenge aur usse jahannum mea daakhil karenge (toye) aur wo bohhot

               hee burah thikaana  hai 4:115(17AIN3-14) beshak khuda isko to na


               bakshega k uske saath shirk kiya jaaye aur usse kam gunaaho ko

               bakshdega jisse jisse chaahe(toye) aur jisne khuda se shirk kiya to usne


               yakheenan bohhot badhi gumraahi ki4:116 wo khuda ki siwaa nahi


               pukaarte hai magar aurtoun (deviyoun) ko aur nahi pukaarte hai magar

               shaitaan e sarkash ko 4:117(laa) jiss per khuda ne laanat ki (meem)  aur


               usne ye kaha tha k mea tere bandoun mea se ek muqarrar hissa zaroor

               lelunga (1) 4:118(laa)  aur mea unko zaroor gumrah karunga aur mea


               unko zaroor jhuuti umeedayn dilaaonga aur mea unko zaroor


               samjhadunga pass wo chaopaao k kaan cheer dalenge aur mea unko zaroor

               hukum dunga pass wo khuda ki paydaayesh (2)(banaayi hui heeyat


               (tasavvur ,shabi) ) ko zaroor badal daalenge  aur jo shaks khuda ko


               chorker shaitaan ko dost banaayega wo yakheenan sareeh nukhsaan

               uthaayega 4:119(toye) shaitaan unse waada karta hai aur unhe umeeday


               dilaata hai(3)(toye) aur shaitaan nahi waada karta hai magar dhoka hee


               dhoka 4:120 unhee logoun ka thikaana
   149   150   151   152   153   154   155   156   157   158   159