Page 155 - Quran-e-Kareem
P. 155
th
th
4 Sureh An-Nisa (155) 5 para
Jahannum hai jiss se bhaagne ka mauqa wo na paayenge 4:121 aur jo log
imaan laaye aur (unho ne) nayk kaam kiye ankhareeb hum unko aise
baaghoun mea daakhil karenge jin k neechey nadiyaa behti phirti hai
hamesha hamesha wo unhi mea rahenge (toye) (ye) allah ka waada saccha
hai (toye) aur baat kehne mea allah se zyaada sacha kaun hoga ? 4:122
tumhaari umeedoun ko aur ahle kitaab ki umeedoun ko is mea kuch
dakhal nahi (toye) (2) jo bhi koi badee karega uska badla paayega (laa) aur
khuda k siwaa wo kisi ko na apna haami paayega aur na madadgaar 4:123
aur jo shaks koi nayki karega iss haal me k wo momin bhi ho qawaa (wo)
mard ho ya aurat wahi to jannat mea daakhil hongay aur unnper till
barabar zulm na kiya jaayega 4:124 aur jisne apnay aap ko itaayat e khuda
k liye jhuka diya jiss haal mea k wo naykokaar bhi ho aur khuloos se
millat e ibrahim ka payro hogaya usse behtar deen kiska hoga? (toye)
halaanke ibrahim ko khuda ne khaleel (3) muqarrar kiya tha 4:125 aur jo
kuch

