Page 156 - Quran-e-Kareem
P. 156

th
                 th
               4   Sureh An-Nisa                           (156)                       5   para

               Aasmanoun mea hai aur jo kuch zameen mea hai wo sab allah ka hai


               (toye) aur allah (ka ilm) her cheez  ko ghere huye hai 4:126(18AIN11-15)

               aur (aye payghamber) ye log aurtoun k baarey mea (1) tumse fatwa talab


               karte hai (toye) tum kehdo k allah tumko aurtoun k baarey mea fatwa deta

               hai (laa) aur wo hukum jo tumper yateem aurtoun k baarey mea (2) parha


               jaata hai jinko tum un ka muqarrara hissa nahi dete halaanke tum un se


               nikah karneki khwaahish nahi rakhte ho aur ussi tarah kamzor bachoun k

               baarey mea hukum deta hai (laa) aur ye k tum yateemoun k haq mea


               insaaf kar neke liye kharey hojao (toye) aur jo nayki bhi tum karogay allah

               usse aagah hai 4:127 aur agar koi aurat apnay khaabind(shauher) ki taraf


               se zulm ya be raghbati(naa pasandee) ka andesha rakhey to agar wo aapas


               mea kisi tarah sulah karle to un k zimmay kuch ilzaam nahi (toye) aur

               sulah (sab se) behtar hai (toye) aur sab nafs bukhul(laalach o khudgharzi)


               k saamne kiye gaye hai (toye) aur agar tum nayki karo aur parhezgaar


               raho to jo amal bhi tum karte ho allah us se aagah hai 4:128 aur agarche

               tum iss baat k hareez(khaayeshmand) bhi ho k apni kull azwaaj k


               maabayn masawaat bartou to hargiz na barat sakogay phir poora
   151   152   153   154   155   156   157   158   159   160   161