Page 157 - Quran-e-Kareem
P. 157
th
th
4 Sureh An-Nisa (157) 5 para
Zulm bhi na karo k usko adhar(aadhey hissay) mea chordo (toye) aur agar
tum islaah karo aur darte raho to allah bohhot badhaa bakhashne wala
(aur) rehem karne wala hai 4:129 aur agar wo dono juda hojaaye to allah
(1) her ek ko apnay (khazaana) wussatt se ghani kardega (toye) aur allah
wussat wala (aur) hikmat wala hai 4:130 aur jo kuch aasmanoun mea aur
jo kuch zameen mea hai wo sab allah ka hai (toye) aur yakheenan humne
unn logoun ko jinmein tumse pehle kitaab dee thi aur khud tumko ye
hukum diya hai k allah se darte raho (toye) aur agar tum naa shukri
karogay to aasmanoun mea aur zameen mea jo kuch hai wo to allah hee ka
hai (toye) aur allah be parwa (aur) laayekh e hamd hai 4:131 aur
aasmanoun mea aur zameen mea jo kuch hai wo allah ka hai (toye) aur
kaarsazi k liye kaafi hai 4:132 aye logo ! agar wo chaahe to tum ko fanaah
karde aur bajaaye tumhaare aur (2) payda karde (toye) aur allah issper
(poori poori) khudrat rakhne wala hai 4:133 jo shaks dunia ka badla
chahta hai to khuda k paas dunia ka bhi badla moujuud hai (3) aur
aakherat ka bhi (toye) aur allah sunne wala (aur) dekhne wala hai 4:134
(19AIN8-16)

