Page 240 - Quran-e-Kareem
P. 240
th
th
7 Sureh Al-A’raf (240) 8 para
shuker kertey ho 7:10 (hamza) aur beshak humney tumko paida kia phir
tumhaari soorat banadi phir humney farishtoun se kaha k adam ko sajda
karo (qaaf) pus siwaye iblees k sabhi ney sajda kia (toye) (wo) sajda
kerney walon mein se na tha 7:11 (perwerdigaar ney) fermaya k jab mein
ney tujhko hukum dia to phir sajda kerney se tujhey kis cheez ney roka
(usney) arz ki mein adam se behter hoon (jeem) mujhko tuney aag se
paida kia hai aur unko mitti se 7:12 (khuda ta’ala ney) fermaya uter yahan
se teri ye manzilat nahi hai k tu yahan takabur kare pus nikal ja beshak tu
zaleelon mein se hai 7:13 usney arz ki k jisdin log mashoor kiye jaingey
usdin tak mujhey mohlat ataa ferma 7:14 beshak tu mohlat paney walon
mein se hai 7:15 usney arz ki k jis tarhan se tuney mujhey aesa hukum dia
mein (bhi) zaroor un sab k liye rah-e-rast mein zarahazni kerney
baithunga 7:16 (laa) phir unkey pass unkey samney se aur pusht se aur
dain se aur bain se zaroor aaonga (toye) aur tu unmein se bohhotson ko
shuker guzaar na payega 7:17 (khuda ney) fermaya tu yahan se

