Page 241 - Quran-e-Kareem
P. 241
th
th
7 Sureh Al-A’raf (241) 8 para
zaleel-o-khwaar hoker nikal ja (toye) (aur) unmein se jo teri pairavi karega
tu mein (bhi) tum sab se zaroor jahannum bherdunga 7:18 aur aye adam
tum aur tumhaari zouja jannat mein baso aur jahan (jahan) se tumhaara ji
chahey khao aur us darakht k pass na jana warna tumdono zaalimoun
mein se hojaogey 7:19 phir shaitan ney unkey dil mein waswasa dala
taakey unkey satr jo ek doosrey se posheeda they wo zahir kerdey aur ye
kaha k tumhaarey malik ney tumko is darakht se roka nahi hai mager
(sirf) isliye k kahin tum farishtey na banjao ya hamesha k rehney waley na
hojao 7:20 aur undono k samney qasam khai k mein zaroor tumhaarey
khair khwahon mein se hoon 7:21 (laa) aur is tarhan dhokey se unko
daano dol kerdia (jeem) phir jaisey hi undono ney us darakht (ke phal) ko
chakha unke satr khul gaye aur wo jannat k pattey (jora) jordh key
(apney) apney satr chupaney lagey (toye) aur unkey perwerdigaar ney
pukar ker unsey kaha kia mene tum dono ko is darakht se mana na kia tha

