Page 242 - Quran-e-Kareem
P. 242
th
th
7 Sureh Al-A’raf (242) 8 para
aur tumko ye jata na dia tha k shaitaan tumhaara khula dushman hai 7:22
dono ney arz ki key aye perwerdigaar humney apney upper zulm kia aur
ager tu baksh na dega aur reham na karega tu hum zaroor nukhsaan
uthaney walon mein se hojaingey 7:23 nikal jao tum ek doosrey k
dushman rahogey (jeem) aur waqt muqarrar tak zameen hi mein
tumhaarey liye jaye qarar hai aur wahin sermaya hayat 7:24 (ye bhi)
fermaya k ussi mein tum jeogey aur ussi mein marogey aur ussi se (jaza-o-
saza k liye ) tum nikaal kharey kiye jaogey 7:25 (hamza) aye aulaad-e-adam
humney tumper libaas naazil kia k tumhaari perdaposhi kare aur zeenat ho
(toye) aur libaas-e-taqwa wo tu sab se behter hai (toye) ye (libaas nazil
kerna) uski nishaniyon se hai taakey wo naseehat hasil Karen 7:26 aye
aulaad-e-adam shaitan tumko fitna mein na daaley jaisa k usney tumhaarey
waaledein ko jannat se nikala aur unka libaas uterwaya k unkey satr zahir
kerdey (toye) beshak wo aur uska lashker tumko aesi jagha se dekhta rehta
hai jahan se tum

