Page 243 - Quran-e-Kareem
P. 243
th
th
7 Sureh Al-A’raf (243) 8 para
unko nahi dekhtey (toye) mager humney shayateen ko unhi ka humdum
muqarrar kia hai jo imaan nahi rakhtey 7:27 aur jiswaqt wo koi badi kertey
hain tu kehtey hain k humney tu apney baap dada ko yehi kertey paya hai
aur Allah ney bhi humko issi ka hukum dia hai (toye) tum ye kehdo k
Allah yaqeenan behayai ki baton ka hukum nahi deta (toye) kia tum Allah
k berkhilaaf wo kuch kehtey ho jo tum nahi jaantey 7:28 tum kehdo k
merey perwerdigaar ney tu adalat ka hukum dia hai aur ye k her namaz k
waqt (qibla ki taraf) apney rukh karo aur deen ko issi k liye khalis samajh
ker dua maango (toye) jaisa usney awal mein tumko paida kia tha waisey
hi uskey huzoor mein palat ker jaogey 7:29 (toye) ek guroh ko tu usney
hidaayat ki aur ek guroh is haal mein hai k unper gumrahi sabit hogai
(toye) beshak unhoney khuda ko chordh ker shayateen ko apna yaar
banalia hai aur gumaan ye kertey hain k hum hidaayat yafta hain 7:30 aur
aulaad-e-adam her namaz k waqt zeenat karo aur khao aur piyo aur fuzool
kharchi na karo (jeem)

