Page 245 - Quran-e-Kareem
P. 245
th
th
7 Sureh Al-A’raf (245) 8 para
aur na wo ranj uthaingey 7:35 aur jo hamaari aayaton ko jhutlaingey aur
baroye takabur unko na manengey jahanumi wohi hain (jeem) jismein wo
hamasha rehney waley hongey 7:36 aur unsey ziada zalim kaun hoga jo
Allah k zimey jhoot bohtaan bandey ya uski aayaton ko jhutlaye (toye)
yahi wo hain jinka likha hua hissa unko pohonchega (toye) yahantak k
jiswaqt hamarey bhejey huye unkey pass pohonch ker unka faisla karengey
unsey (ye bhi) kahenge k Allah k siwa tum jinko pukara kertey they wo ab
kahan hain (toye) tu wo kahenge k wo tu humsey ghayab hogaye aur apni
zaat k nisbat gawahi dengey k beshak hum kafir they 7:37 (khuda ta’ala)
fermayega k tum (bhi) inhi umaton mein daakhil hojao jo jinon aur
admiyoun mein se tum sey pehley atish-e-jahanum mein ja chukein (toye)
jiswaqt koi guroh daakhil hoga wo apney hum jins guroh ko lanat karega
(toye) yahantak k jab sab usmei jama hojaingey (laa) tu pichley pehlon ki
nisbat ye arz karengey k aye hamarey perwerigaar humko tu unhoney
gumrah kia pus unko atish-e-jahanum ka dugnah azaab dey (toye)

