Page 244 - Quran-e-Kareem
P. 244
th
th
7 Sureh Al-A’raf (244) 8 para
beshak khuda ta’ala fuzool kharchi kerney walon ko dost nahi rakhta 7:31
(hamza) tum kehdo k khuda ki zeenat ko jo usney apney bandon k liye
paida ki hai aur rizq ki paak cheezon ko haraam kisney kia hai (toye) tum
kehdo k jo log zindagaani dunya imaan laaye hain qayamat k din ye
nematen khaas taur per inhi k liye hongi (toye) samajhney walon k liye
hum istarhaan apni aayaton ko tafseel kerdetey hain 7:32 tum kehdo k
merey rab ney behayaai ki baatoun wo khuli hon tu aur chupi hont u
haram kia hai aur gunah ko naahaq ki baghawat ko aur isbaat ko k tum
khuda ka shareek muqarrar kerlo jiskey mutaliq khuda ney koi hujjat
(sanad) nahi utari aur is baat ko k khuda k khilaaf wo kuch kehdo jo tum
nahi jaantey (haram qarar dia hai) 7:33 aur her guroh k liye ek waqt
muqarrar hai (jeem) pus jab unka waqt aajayega tu wo ek saaet k liye na
peechey rahengey aur na agey berhengey 7:34 aye aulaad-e-adam
tumhaarey pass tumhaarey hum jins rasool zaroor ayengey jo meri aayaten
tum ko perdhker sunaengey pus jo taqwa aur naiki ikhtiyaar karengey
unper na koi khof tari hoga

