Page 246 - Quran-e-Kareem
P. 246
th
th
7 Sureh Al-A’raf (246) 8 para
(khuda ta’ala) fermayega k her ek k liye dugnah (lo) laikin tum samajhtey
hi nahi 7:38 aur pehley pichlon se ye kahenge kea ab tumko humper kia
fazilat rahi ab tum (bhi) apney kiye ka azaaab chakho 7:39 (hamza)
beshak jinhoney hamaari aayaton ko jutlaaya aur baroye takabur unsey
aeraaz kia na unkey liye aasman k derwazey kholey jaingey aur na wo
jannat mein dhakhil hongey jabtak k oounth suyeen(needle) k naaqey se
na guzer jaye (toye) aur hum mujrimon ko aesa hi badla dia kertey hain
7:40 jahannum mein unkey liye bichona (bhi) hai aur upper se ordhney ki
cheezein (bhi) aur hum zaalimoun ko aesa hi badla dia kertey hain 7:41
aur jo log imaan laye hain aur naiko kaar hain halankey hum kisi nafs ko
uski had-o-wasat se ziada takleef nahi dete (jeem) janati wohi hain jismein
wo hamesha rehney waley hongey 7:42 aur unkey seenoun ko hum keena
se paak kerdengey nehrein unkey neechey behti hongi aur wo ye kehtey
hongey k sab tareef us Allah k liye hai jisney

