Page 247 - Quran-e-Kareem
P. 247
th
th
7 Sureh Al-A’raf (247) 8 para
humko is jagah tak pohonchaya aur ager Allah hamara rehber na hota tu
hum rah na patey (jeem) beshak hamarey perwerdigaar k berhaq rasool
hamarey pass aye (toye) aur ussi waqt unko awaz di jayegi k bawajah un
aamaal k jo tum kia kertey they is jannat k tum waris kiye gaye 7:43 aur
jannat waaley jahannum walon se pukaar ker poochengey k hamarey
perwerdigaar ney humsey jo wada kia tha humney tu usey theek paya pus
tumhaarey perwerdigaar ney jo wada kia tha aya tumney (bhi) usey theek
paya (toye) wo jawab dengey haan phir ek awaz deney wala unkey
maabayn awaz dega k zaalimoun per khuda ki lannat ho 7:44 (laa) jo rah-
e-khuda se roktey they aur uski kaji(kamzori) k khwastgaar they (jeem)
aur wohi aakhirat se munkir they 7:45 (meem) aur in dono (gurohon) ki
mabein aardh hogi (jeem) aur (uski) chotiyoun per aesey log hongey jo her
ek ko unki peshaniyon se pehchantey hongey (jeem) aur wo jannat walon
ko awaz deker ye kahenge k tum per salam ho aur wo khudh abhi na
usmein pohonchey hongey halankey raghib hongey 7:46 aur jiswaqt unki
nazer

