Page 248 - Quran-e-Kareem
P. 248
th
th
7 Sureh Al-A’raf (248) 8 para
jahanum walon per phiregi tu arz karengey k aye hamarey perwerigaar
humko zalim logo k sath na rakhiyo 7:47 (hamza) aur malikaan araaf
(serdaran kufar mein se) baaz logon ko pukarengey jinko wo unki
peshaniyon se pehchantey hongey aur ye kahenge k tumhaarey jathey ne
kuch kaam dia aur na in cheezon ney jinper tum ghamand kia kertey they
7:48 (phir gunahgaar shiyon ki taraf ishara kerkey un kufaar se daryaaft
karengey ke) aaya yehi hain wo jinki nisbat tum qasam khaker kaha kertey
they k unper Allah rehmat na karega (toye) (phir un shiyon ki taraf
mutawajha hoker fermaingey ke) tum jannat mein jao tumper koi khof
nahi hai aur na tum ranjeedah hogey 7:49 aur jahannum waaley jannat
walon se pukaar ker kahenge k thora sa pani aur kuch wo cheezein jo
Allah ney tumko inaayat ki hain humper (bhi) daaldo (toye) (wo) jawab
dengey k Allah ney ye dono cheezein un kafiron per haram kerdi hain 7:50
(laa) jinhoney uskey deen ko khelkoodh banaaya tha aur zindagaani dunya
ney unko dhoka dia tha (jeem) (irshad-e-bari hai ke) pus aaj k din hum
(bhi) inko aesa hi bhula dengey jaisa k wo usdin k aneyko bhooley huye
they aur jaisa k wo hamaari nishaniyon ka

