Page 249 - Quran-e-Kareem
P. 249
th
th
7 Sureh Al-A’raf (249) 8 para
inkaar kiya kertey they 7:51 aur beshak humney unko ek aesi kitaab di hai
jiski tafseel humney janch ker ki hai dar anhalaan k wo imaan laney
walon k liye hidayat-o-rehmat hai 7:52 kia wo sirf uskey anjaam key
muntazir hain? (toye) jisdin uska anjaam zahir hojayega tu jo usko pehley
se bhooley huye they wo ye kehngey k beshak hamarey perwerdigaar k
rasool haq leker aye they (jeem) phir ab hamarey (bhi) koi shafat
kerneywaley hain jo hamaari shafat kerdein ya hum wapis bhejdiye jain k
jaisey amal (bad) hum kia kertey they unkey berkhilaaf (naik) amal Karen
beshak unhoney apney aap ko bara nukhsaan pohonchaya aur jo
aftraperdaziyan(badmaashiyaan) wo kia kertey they wo sab unkey hath se
nikal gain 7:53 (hamza) beshak tumhaara perwerdigaar wo Allah jisney
aasmanon ko aur zameen ko 6 din mein paida kia phir arsh per (uska
hokum) ghalib aya (wohi) raat ko din se dhaanp deta hai jo tezi se uskey
peechey chala aata hai aur (ussi ney) sooraj aur chand aur sitaron is shan
se paida kia k uskey hukum k tabey hain (toye) agah raho k banaana aur
hukum dena ussi ka kaam hai (toye) Allah qul alamon ka perwarish
kerney wala sahib-e-berkat hai 7:54 tum apney perwerdigaar se girdhgira
ker aur

