Page 250 - Quran-e-Kareem
P. 250
th
th
7 Sureh Al-A’raf (250) 8 para
chupkey (chupkey) dua manga karo (toye) beshak wo tajaweez kerney
walon ko dost nahi rakhta 7:55 aur zameen mein baadh uskey islah k fasad
mat karo aur khuda se umeed-o-beam saath dua mango (toye) beshak
rehmat khuda naiki kerney walon se khareeb hai 7:56 aur wo wohi hai jo
apni rehmat (barish) se pehley khushkhabri deney k liye hawa ko bhejdeta
hai (toye) yahantak k jab wo bharey huye badalon ko le ati hai to hum
unko murdah zameenon ki taraf lejatey hain phir unmein se pani utaartey
hain phir uskey zariye her qisam k phal paida kerdetey hain issi tarhan
hum murdon ko (bhi) zinda kerdengey takey tum yaad rakho 7:57 aur
umda zameen ki nabataat tu hokum-e-khuda se khoob ughti hai aur jo
zameen nakara hoti hai usmein se kuch nahi ugta mager ika duka (toye)
hum issi tarhan shuker kerney walon k liye ayaat ka ulat pher kia kertey
hain 7:58 (hamza) beshak humney nooh ko unki qaom ki taraf bheja pus
unhoney ye fermaya k aye meri qaom Allah ki ibaadat karo k iskey siwa
tumhaara

