Page 251 - Quran-e-Kareem
P. 251
th
th
7 Sureh Al-A’raf (251) 8 para
aur koi mabood nahi hai (toye) mein zaroor tumhaarey liye barey din k
azaab se darta hon 7:59 unki qaom k sharfa ney ye kehdia k hum tu aaphi
ko khuli gumrahi mein dekhtey hain 7:60 hazrat nooh ney fermaya k aye
meri qaom mujh mein gumrahi (zarra bher bhi) nahi hai balkey mein tu
perwerigaar ki taraf se payamber hoon 7:61 tumko apney perwerdigaar k
paighaam pohonchata hon aur tumhaari hi khair khwahi kerta hon aur
Allah ki taraf se wo kuch jaanta hon jo tum nahi jaantey 7:62 kia tumhey
issey taajub hua k tumhaarey rab ki taraf se naseehat tum mein se ek mard
per nazil hui taakey wo tumko daraaye aur tum muttaqi hojao aur takey
tumper reham kia jaye 7:63 pus unhoney usko jhutlaya aur humney khud
unko aur kashti mein jo unkey saath they unko nijaat dedi aur jo log
hamaari aayaton ko jhutlaya kertey they unko humney gharkh kerdia
(toye) beshak wo log kor baatin(kora kaaghaz jaise ) they 7:64 (hamza)
aur aad ki taraf humney unhi k humqaom hoodh ko bheja (toye) unhoney
kaha k aye meri qaom Allah ki ibaadat karo k iskey siwa tumhaara koi
mabood nahi hai kia tum (azaab-e-khuda se) nahi darte 7:65

