Page 252 - Quran-e-Kareem
P. 252
th
th
7 Sureh Al-A’raf (252) 8 para
unki qaom mein se jo kafir they unmein se barey baron ney kaha k humtu
tumko yaqeeni nadaani mein dekhtey hain aur beshak hum tumko
jhootoun mein se gumaan kertey hain 7:66 (unhoney) fermaya k aye meri
qaom mujh mein zarra bher nadaani nahi hai balkey mein tu perwerdigaar
alam k taraf se rasool hon 7:67 apney perwerdigaar k paigham tumko
pohonchata hon aur tumahara motaber khair khwah hon 7:68 kia tumko
issey tajub hua k tumhaarey rab ki taraf se naseehat tumhi mein se ek
shaks per nazil hui k wo tumko daraye (toye) aur tum yaad karo jabkey
khuda ney baad-e-qaom nooh k tumko zameen ka khaleefa banaaya hai
aur apni makhlookh mein tumko qoowat aur qaamet mein ziada kia hai
(jeem) pus khuda kinematon ko yaad kertey raho takey tum falah pao 7:69
(unhoney) kaha kia tum isliye hamarey pass aye ho k hum ek khuda ki
(to) ibaadat Karen aur jinki hamarey baap dada ibaadat kia kertey they
unko chordh dein (jeem) (jao) ager tum sachey ho to jis azaab ka humsey
wada kia kertey ho usey le aao 7:70 (hazrat hoodh ney) fermaya k tumper
tumhaarey perwerdigaar ki taraf se azaab aur ghazab (to) achuka hai (toye)

