Page 253 - Quran-e-Kareem
P. 253
th
th
7 Sureh Al-A’raf (253) 8 para
kia tum mujhsey aesi cheezon k barey mein jhagertey ho jinko tumney aur
tumhaarey baap dada ney khudh se naamzad kerlia (aur) aur Allah ney
unkey mutaliq koi daleel nazil nahi ki (toye) lehaza tum (azaab ke)
muntazir raho mein bhi tumhaarey sath intezaar kerney walon mein se
hon 7:71 pus humney (khudh) unko aur jo unkey sathi they unko apni
rehmat se nijaat dee aur jo hamaari aayaton ko jhutlaya kertey they aur
momin na they unki humney nasal qatah kerdi 7:72 (hamza) aur qaom
samood ki taraf humney unkey bhai saleh ko bheja tha (meem) unhoney
ye kahan k aye meri qaom Allah ki ibaadat karo jiskey siwa tumhaara koi
mabood nahi hai(toye) tumhaarey perwerigaar ki taraf se tumhaarey pass
khula mojiza aaya hai (toye) ye Allah ki oounthni tumhaarey liye ek
nishani hai isey chordhdo k Allah ki zameen pe charty phirey aur usay
buri tarhan na choona (yani takleef na pohonchana) warna tumko
dardnaak azaab alega 7:73 aur usko yaad rakho k qaom-e-aad k badh
(khuda ney) tumko maalik banaaya hai aur tumko is zameen mein abaad
kia hai k naram zameenoun mein tum mehal banatey ho

