Page 254 - Quran-e-Kareem
P. 254
th
th
7 Sureh Al-A’raf (254) 8 para
aur paharon ko (kaat) kaat k tum makaan banaatey raho (jeem) tu ab
Allah ki nematon ko yaad kertey raho aur zameen mein fasad mat karo
7:74 unki qaom mein se jo (barey) barey they unkey serdaron ney un
kamzor logon se jo imaan laaye they kaha kia tum ye jantey ho k saaleh
khuda ki taraf se bheja hua rasool hai (toye) (unhoney) kaha k jo kuch ye
leker aye hain humtu usper balyaqeen imaan rakhtey hain 7:75
mutakabreen ney kaha k tum jisper imaan rakhtey ho hum uskey
balyaqeen munkir hain 7:76 phir unhoney ounthni ko pe kerdia (paaon
kaat dale) aur apney perwerdigaar k hukum se serkashi ki aur ye kehdia k
aye saleh ager tum rasooloun mein se ho tu jis (azaab) ka tum humsey
waada kertey ho usey le ao 7:77 akhir zalzala ney unko alia aur wo apney
gharon mein (baithey ke) baithey rehgaye 7:78 aur hazrat saleh unsey
rogerdaan huye aur ye fermaya k aye meri qaom mene tu apney
perwerdigaar ka paighaam tumko pohonchadia tha aur tumko naseehat
kerdi thi laikin

