Page 255 - Quran-e-Kareem
P. 255
th
th
7 Sureh Al-A’raf (255) 8 para
tum naseehat kerneywalon ko dost nahi rakhtey 7:79 aur humney looth ko
bheja tu unhoney apni qaom se kaha k kia tum aesi badi kertey ho k waisi
badi tamam aalam mein kisi ney na ki 7:80 beshak tum aourton ko chordh
ker mardoun k sath shehwat rani kertey ho (toye) tum zaroor hadh se
guzerjaney waley logon mein se ho 7:81 aur unki qaom ka koi jawab na
tha siwaye iskey k ye kehney lagey k unko apney gaon se nikaaldo (toye)
isliye k ye wo log hain jo paak bantey hain 7:82 pus humney looth ko aur
unkey baal bachon ko nijaat di siwaye unki zauja k wo peechey rehjaney
walon mein se thi 7:83 aur unper humney patharon ka mea (baarish)
bersaya (toye) pus ghor karo k mujrimoun ka anjaam kia hua 7:84 (hamza)
aur madeeyann mein humney unkey bhai shoaib ko bheja (toye) unhoney
kaha k aye meri qaom Allah ki ibaadat karo jiskey siwa tumhaara koi
mabood nahi hai (toye) tumhaarey rab k pass se tumhaarey pass (khuli)
daleel aachuki hai tu ab pemana aur tarazo

