Page 256 - Quran-e-Kareem
P. 256
th
th
7 Sureh Al-A’raf (256) 8 para
poorey rakho aur logon ko unki cheezein kam na do aur badh islah
hojaaney k zameen mein fasaad mat phelao (jeem) ye baat tumhaarey liye
bohhot hi achi hai ager tum momin ho 7:85 aur her rasta mein is gharz se
na baitho k logon ko darao aur jo Allah per imaan laein unko rah-e-khuda
se baaz rakho aur uski kaji (kamzori ya nuqs ) k khwastgaar raho (jeem)
aur usko yaad rakho k tum thorey se they khuda ney tumko bherdha dia
hai (suaad) aur ghor karo k fasad kerney walon ka anjaam kia hota raha
hai 7:86 aur ager tumey ek guroh is hukum per jiskey sath mein bheja
gaya hon imaan le aaya aur ek guroh imaan na laya tu saber karo jabtak k
khuda hamarey maabayn faisla na fermadey (jeem) aur wo sab se acha
faisla fermaney wala hai 7:87

