Page 258 - Quran-e-Kareem
P. 258
th
7 Sureh al-araf (258) 9th para
Ki thi wo aise barbaad ho gaye goya (1) kabhi aabaad hee na huye they
(pesh)(jeem) jinhonay shoiab ko jhutlaya tha nuqsaan uthaane waale wahi
huye 7:92 pass shoaib unse rogardaan huye aur farmaane lagey k aye meri
khoum mea ne tumko apnay parwardigaar k payghaam yaqeenan
pohoncha diye aur tumhay nasiyyat bhi ki to ab munkir logoun k liye ranj
kia karun 7:93(11AIN9-1) aur humne kisi basti mea koi nabi nahi bheja
magar ye k (jab uska inkaar kiya to ) wahaan k baashindoun(rehne
waloun) ko aflaas o marz (bhook o beemari) mea (bhi) giraftaar kiya taa k
unke dil naram houn aur wo roye peethay 9:94(agar wo roye dhoay to)
phir humne unki balaa ko aafiyat se badal (bhi) diya yahaan tak k wo
khoob barhey aur kehne lagey k hamaare (2) baap dadaaon per
museebatayn aur raahatayn (sab hee kuch) guzar chuki hai phir humne
unko yekaayak aise haal mea k wo be khabar they dhar pakra 7:95 aur agar
bastiyoun waale imaan le aate aur darte rehte to hum unnper aasmaan o
zameen k barkatein khol dete lekin unhonay jhutlaaya phir humne bhi
jaise (jaise) baddiyaan wo kiya karte they ussi k ba moujuud unse
muwaqeza kiya 7:96 kia gaaon waale isse bakhauf hogaye hain k hamaara
azaab

